Aise hijr ke mausam kab kab aate hain,
tere alaawa yaad humein sab aate hain.
Jaagti aankhon se bhi dekho duniya ko,
khwaabon ka kya hai woh har shab aate hain.
Jazb kare kyon rait humari ashkon ko,
tera daaman tar karne ab aate hain.
Ab woh safar ki taab nahin baaqi warna,
hum ko bulaawe dasht se jab tab aate hain.
Kaaghaz ki kashti mein dariya paar kiya,
dekho hum ko kya kya kartab aate hain. !!
Comments
Post a Comment