Ab jo koi poochhe bhi toh uss se kya sharh-e-haalaat karen, dil thehre toh dard sunaayen dard thame toh baat karen.
Ab jo koi pooche b to uss se kia sharh-e-haalaat karen,
dil thehre to dard sunaayen dard thame to baat karen.
Shaam hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifaan roshan ki,
ghar ko aag lagaayen hum b roshan apni raat karen.
Qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahoo apni gardan pe,
mohr-ba-lab baithe hain kis ka shikwa kis ke saath karen.
Hijr mein shab bhar dard-o-talab ke chaand sitaare saath rahe,
subh ki veerani mein yaaro kaise basar auqaat karen. !!
Comments
Post a Comment