Aarzuen hazaar rakhte hain,
toh bhi hum dil ko maar rakhte hain.
Barq kam-hausla hai hum bhi toh,
dil ko be-qaraar rakhte hain.
Ghair hi maurid-e-inaayat hai,
hum bhi toh tum se pyaar rakhte hain.
Na nigaah ne payaam ne waada,
naam ko hum bhi yaar rakhte hain.
Hum se khush-zamzama kahan yun toh,
lab-o lehja hazaar rakhte hain.
Chotte dil ke hain butaan mash.hoor,
bas yahi aitbaar rakhte hain.
Phir bhi karte hain ‘meer’ saahab ishq,
hain jawaan ikhtiyaar rakhte hain. !!
Comments
Post a Comment