Hai ajeeb shehar ki zindagi na safar raha na qayaam hai, kahin karobaar si dopehar kahin badmijaaz si shaam hai. Kahan ab duaaon ki barkatein, woh naseehatein, woh hidaayatein Ye zaruraton ka khuloos hai, ye matalbon ka salaam hai. Yun hi roz milne ki aarzoo badi rakh rakhaao ki guftgoo, Ye sharaafatein nahin be gharaz, usey aap se koi kaam hai. Woh dilo mein aag lagayega main dilon ki aag bujhaunga, Usey apne kaam se kaam hai, mujhe apne kaam se kaam hai. Na udaas ho na malaal kar kisi baat ka na khyaal kar, kayi saal baad mile hain hum, tere naam aaj ki shaam hai. Koi naghma dhoop ke gaaon sa, koi naghma shaam ki chhaon sa zara in parindon se poochhna ye kalaam kis ka kalaam hai.