Ronaq-e rahguzar hai tanhaai,
phir meri humsafar hai tanhaai. !
Chaand kyon mand padta jata hai,
tu hai ya baam par hai tanhaai. !
Kya maseehaa’on ko talaash karen,
zakhm ki chaaragar hai tanhaai. !
Shaam-e ghum odh kar hi so jaao,
shaam-e ghum se udhar hai tanhaai. !
Kirchiyon se bhi aks chunti hai,
sangdil kis qadar hai tanhaai. !
Jinke mehmaan hon shab ke andeshe,
aise logon ka ghar hai tanhaai. !
Lamha bhar ko hai saath saans’on ka,
aur phir umar bhar hai tanhaai. !
Jaane kis ki talaash mein ‘Mohsin
aaj kal dar-ba dar hai tanhaai. !!
Comments
Post a Comment