aina kyun na duun k tamasha kahen jise
aisa kahan se laon k tujh sa kahen jise
hasrat ne la rakha teri bazm-e-ḳhayal main
gul-dasta-e-nigah suvaida kahe jise
phoonka hai kis ne gosh-e-mohabbat main hai ḳhuda
afsun-e-intizar tamanna kahen jise
sar par hujom-e-dard-e-ġharebi se Daliye
voe k musht-e-ḳhak ki sahra kahen jise
hai chashm-e-tar main hasrat-e-dedar se ni
shauq-e-inan guseḳhta dariya kahen jise
darkar hai shaguftan-e-gul-ha-e-aish ko
subh-e-bahar pumba-e-mina kahen jise
'Ghalib' bura na maan jo vaaiz bura kahe
aisa b koi hai k sab achchha kahen jise
Comments
Post a Comment